Showing posts with label Gazal. Show all posts
Showing posts with label Gazal. Show all posts

Tuesday, 14 April 2009

Tuesday, 24 March 2009

Kahu tou loat jatay hain

Kahu tou loat jatay hain


Abhi tou baat lamhon tak hai, saloun tak nahi aie

Abhi muskan ki nobat bhi, naalon tak nahi aie

Abhi tak koi majboori khayalon tak nahi aie

Abhi tou gard pairon tak hai, baalon tak nahi aie

Kahu tou loat jatay hain!!!

Tumhara saath agar mil jaye

Tou zamanay se ulajhna baat hie kia hai

Agar tum chorh dou mujh ko

Meri auqat hie kia hai

Mere baarai main na socho

Tum apni baat batlao

Kahu tou chaltay rehtain hain

Kahu tou loat jatay hain..!!!